આજ જાને કી ઝિદ ના કરો
Upload music at Bolt.
Singer: Farida Khanam (pakistani singer)
Album: Monsoon Wedding (also in Rough Guide to Pakistan)
Aaj jaane ki zid na karo (3)
Yunhi pehloo mein baithe raho (2)
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo (2)
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo
Tum hi socho zara, kyun na roke tumhe
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum (2)
Tumko apni qasam jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Aaj jaane ki zid na karo...
Waqt ki qaid mein zindagi hai magar (2)
Chand ghadiyan yehi hain jo aazad hain (2)
Inko khokar mere jaan-e-jaan
Umr bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zid na karo...
Kitna maasoom rangeen hai yeh sama
Husn aur ishq ki aaj mein raaj hai (2)
Kal ki kisko khabar jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zid na karo...
(Thanks to a dear friend 'Parag Pasarnikar', who had sent me this beautiful composition)
1 Comments:
This is Excellnet!!!
Ashish Joshi
Los Angeles
California
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home